
Ishq ki baatein kar li bahut,
Chalo baat aaj dosti ki karte hain,
Ishq se mehroom wo reh bhi lein shayad,
Dosti ke bina kaise reh lein.
Sifar si iss zindagi ko muqammal kar gaya,
Tha mashooq nahi ek dost wo.
Wo dost hi tha,
Jisne mann ke andheron ko roshni dikhlai,
Wo dost hi tha,
Jisne majdhaar se kashti kinare dar lagwai
Wo dost hi tha,
Jisne iraadon ko buland karne ka jazba sikhlaya,
Fir bhala kyun aye dil,
Kyun zikra mohobbat-naame mein,
Kewal tere aashiq ka raha?
Jabki dil ke tukde to tab bhi huye,
Jab yaar ne baat naa karne ka bahana,
Waqt ki killat batlaya tha.
Jab yaar ne sath bitaaye huye samay ka
Byora khulwaya tha.
Jab yaar ne hans ke kahi baaton ko,
Dil se lagaya tha.
Tabhi to kahun ki,
Ishq ki baatein kar li bahut,
Chalo baat aaj dosti ki karte hain,
Ishq pe nazmein likh li bahut,
Chalo aaj nagma dosti ka sunaate hain.

Anchal, your usual introvert that finds comfort in words and colors. A commerce student and thereafter banker by profession but writer by choice. She is multi-faceted so don’t judge in one go; Mostly found with poetry, paintings, and pomegranates…also, fond of alliteration! She has been working as an Asst. Manager for a year and a half so can say this on oath that your passion will find you no matter where you hide or what excuse you make to yourself.